Archive for June, 2005

saurav

Posted in Saurav on Monday, June 20, 2005 by akashsaurav

mujhe pata nahin aisa kyun ho gaya…
jiski sabse zyaada zaroorat thi wohi nahin hai.
pata nahin kyun ye sab likhne ka mann kar raha hai.. shayad jiske liye hai woh ise kabhi na padhe.. padh bhi le to bhi samjhna shayad mushkil ho!
phir bhi likh raha hoon. isi bahane usko yaad to kar raha hoon.

usne mujhe kitna kuch sikhaya. kitna sudhara. maine hamesha chaha ki woh hamesha paas rahe. per.

kyun hua woh jo nahin hona chahiye tha!

Mr. & Mrs.Desai

Posted in Marriage on Friday, June 17, 2005 by akashsaurav


Mr.Desai
Originally uploaded by akash saurav.

chut mang-ni aur pat shadi… hmmm.. ye sochne mein mazboor kar deti hai ki.. kise shadi karne ki jaldi thi… ispe bahas honi chahiye.. correct!!
firstly.. agar madam ko shadi ki itni jaldi thi.. to chehre mein jhalakta kyun nahin tha? hidden behind that smile? ;) hmm … ho sakta hai.. hone ko to kuch bhi ho sakta hai.. ;)
secondly.. aise bhi ho sakta hai ki madam … sir ji ko pehle se jaanti ho .. aisa hai to pata kaise nahin chala? kya hum itne buddhu hain? ya madam chalaak hain.. ki humein pata bhi chalne nahin diya? :p

thirdly.. sir ji se raha nahin gaya.. ek baar picture kya dekh liya ki ,…. ha ha ha !! aur raha nahin gaya :p:p

jaisa bhi hai.. shadi karne ka decision to le liya.. next discussion is on.. why no one was invited?.. was it because.. we are not that worth? ho sakta hai :(

..jo bhi hai.. shadi bhi ho gayi hai.. aur ……………………;)[milo phir poochte hain ;) ]

God Bless you both..